Sunday, April 15, 2007

(2) My Kiratpur Days (1978-1995) -Revised

An honest retrsopection needs an overall review on the path left behind.. on our successes.. on our failures...itne saalon main kya khoya ..kya paaya....jin cheejon ko peeche chodd aaye … unakii kyaa value thi . aur jo kuch jindagi se chaha wo mila ya nahi. .....So here starts the retrsopection........I was born and brought up in Kiratpur.. a small town of UP..160 KM far from Delhi. mere ghar par sabhi log business mai involve rahe hain.....mere papa ... mere tau ji .. ours is a joint family....and ghar par saare business bhi joint hi hain. mere papa 3 brothers hain. sabse bade tau ji the .. fir mere papa and then mere chacha.. mere chacha, ..mere papa and tau ji se kaafi chote hain..jab dada ji ki death hui thi tab chacha bahut chote the. dada ji ki death ke baad buiness papa and tau ji ne hi sambhala and chacha studies main hamesha achhe rahe. B.comm karne ke baad chacha 1984 main delhi aaye and CA kiya.. CA karne ke baad unka selection civil services ki Revenue services main hua and unko Income tax department mila.us samay ham sab bachhon ko ghar par yahi samjhaya jata tha ki ......beta .. tum bhi bade ho kar unki tarah khoob hardwork karna and aage nikalna. Tau Ji ka Ek son and ek daugter thi and ham teen brothers the. 1991 main chacha ki marriage hui and unke bhi ek son and ek daughter hai.chacha apni posting ke initial ten years main Gujrat main diffrent cities main posted rahe hain. anyways.. back to the point...... jab chacha delhi rahte the apni student life main tab main kareeb 8-10 saal ka tha tab mujhse jo bhi poochta ki beta tum bade ho kar kya karoge to mera yahi answer hota ki..main bhi chacha ki tarah delhi jaunga and CA karunga... haalanki us waqt shayad mujhe ye bhi nahi pata tha ki iska matlab kya hota hai. Bachpan main bahut saare school change kiye.. uske kai reasons rahe. Main bachpan main healthwise kuch weak tha.. to finally mera admission ek aise school main karaya gaya.. jo ghar ke bilkul paas tha. and this was the first disaster of my life. I always feel regeret for my poor schooling. us samay hamare town main sirf 1 english medium school tha.. jo hamare ghar se kaafi door hua karta tha.. main us school main sirf 6 months padha.. but almost daily meri tabiat school main kharab ho jati thi.. isliye mujhe wahan se nikaal kar ghar ke pas waale school main admission karaya gaya.papa ke is decision ke liye abhi bhi bahhut saalon tak main unse ladta raha hoon. Jab main 9th-10th main tha us time tak bade bhaiya(Tau Ji's Son) ko chacha ne apne paas gujraat main bula liya tha and Sister (Tau Ji's daughter) apni graduation karne ke liye dehradun chali gayi thi. usko dehradun bhejne ke main reason tha girls ke liye unsafe atmosphere. us time mera dehradoon aana jaan laga rahta tha.. kabhi uski vacations main usko le kar aana .. ya fir kabhi kuch aur kaam... anyways 10th tak aate aate main realise kar chuka tha ki.. aane wala time kaafi tough comptetion ka hai.. and because of my poor schooling main shayad is competetion main stand nahi kar paunga...moreover mera school totally hindi medium Govt School tha...jahan par theek se course cover hona to door.. classes lag jayen yahi bahut badi baaten hoti thi.. most of my class mates were villagers. School ki fees thi 1.55 Rs per month and hamare class main proper desks tak nahi thi. mera academic record starting se theek thak raha tha.. ghar main sabhi ko mujhse achhe results ki expectation rahti thi. main hamesha se maths main bahut week raha.. reason ye bhi tha ki jo bhi teachers mile .. wo sabhi aise the ki unhone kabhi fundamentals clear karane ki koshish hi nahi ki. 10th ke board exams main sirf 2 marks se meri 1 st divison rah gayi... it was a great disappointment for my father.unhone bahut dino tak to mujhse baat bhi nahi ki. UP board main Marks bahut jyada nahi aate hain.. isliye achi divison lana bahut badi baat hoti hai. ab tak main kaafi career conscious ho chuka tha and aksar apne friends se ya apne chacha se discuss karta rahta tha ki .. mujhe improvement ke liye kya karna chahiye. but bahut jyada help nahi mil pati thi. un dino mujhe ek bahut ache teacher mile Mr Sunil Bhatnagar. maine unse accounts ka tution lagaya. Bhatnagar ji ne mere sath really bahut mehnat ki. mujhe wo aksar apne saare bathces khatam hone ke baad late evening ka time diya karte the and 3-4 hours tak mujhe akele padhaya karte the. unke efforts ka result tha ki 12th main meri accounts main distinction aayi and maine commerce stream main top kiya. hamare yahan par nearest degree college Bijnor main hai jo mere town kiratpur se kareeb 15 KM hai, isliye college ke liye up-down karna koi bada issue nahi tha.maine B.comm main admission liya..it was year 1995. haalanki main chahta tha ki B.comm ke liye Delhi ke kisi college main admission loon. atleast evening classes main to admission mil hi sakta tha. but papa was not ready for that. aisa nahi tha ki isse pahle maine kabhi ghar se nikalne ki koshish nahi ki thi.. pahle schooling ke time main bhi maine kai baar papa se kaha ki mujhe apna school pasand nahi hai aap mera admission dehradoon ya meerut ke kisi ache school main kara do.. but papa was never agreed for that...unko hamesh lagta raha ki .. bachha hai.. bahar ja kar kaise rahega. anyways.... Bijnor main Vardhman Degree college hai jisme maine admission liya. wahan par ek professor the Mr A K Jain. Jo ab us college ke principle ban chuke hain. Prof A K Jain.. Jain sahab ke naam se famous hain. and hamare unse family terms rahe hain. jab mere chacha padhte the tab unhone chacha ko bhi kaafi support kiya tha. Jain Sahab hamesha se students main kaafi famous rahe hain.. wo chahe unka jolly nature ho ya fir students ke saath unki zindadili. Wo Students ke saath hamesha unke interest ki hi baaten karte hain and unke group ka hi ek hissa ban jaate hain. Jo bhi studenrs B.Com karte the unme se most of the students Jain Sahab se tution lete the .Jo bright students hote the ..Jain sahab unki career counselling personally kiya karte the. so maine bhi Jain sahab se tution laga liya. College ke baad day time main kareeb 2.00 pm ke aaspas Tution hua karta tha. Tution main 1st day meri jin 2 logo se frienship hui wo the Nitin Khanna and Ashutosh Sharma . Nitin Bijnor se hi tha and Ashutosh paas ke hi ek aur chote se town Chandpur se up-down karta tha.

Friday, April 13, 2007

(1) 17th January 2007....A Dream Fulfilled

17th January 2007. 10.00 am. mere phone ki ring se meri neend khuli. dekha to mere uncle ka phone tha. maine phone recieve kiya and he said that..jaldi se uth net on kar result aa gaya. maine unse bola ki theek hai main chek karke aapko wapas call karta hoon. main utha and pc on kiya.. net connect kiya.. CA institute ki result waali site open ki and apna roll number submit kiya.............and in the very next moment meri life change ho chuki thi...I had become a Chartered Accountant. mujhe vishwaas nahi ho raha tha... shayad main neend se utha hi nahi tha...lekin jo aansu meri eyes se bahne start hi chuke the unhone mujhe realise karaya ki it was not a dream. main paas ho gaya tha....I qualified my Chartered Accountancy exams..maine uncle ko phone kia and unse batate batate main poori tarah ro pada. unhone mujhse poocha ki abhi papa ko bataya ya nahi.. maine kaha nahi..then he said that.. ok tu mat bata.. main phone karta hoon bhaiya ko.... mera dimag ka fuse poori tarah se ud chuka tha...na jammen dikh rahi thi na aasman... pata nahi kya ho gaya tha us time....aur bas uske baad se continously phone calls aani start ho gayi.. i still remember.. 10.30 am se 3.30-4.00 pm tak main continously phone par hi baat karta raha.. ya to mere pas phones aa rahe the ya fir main apne frnds ko ya relatives ko phone kar ke bata raha tha....mere dono phones continously baj rahe the.call waitings recieve kar ke ke main pareshan ho gaya tha......fir finally main utha.. ready hua... and uncle ko phone kar ke bola ki main aapke office aa raha hoon. ghar se nikla to raaste se sweets ke 2-3 packets liye..uncle ko dene ke liye and fir apne office bhi to jana tha na. Uncle ke office pahuncha... bahut khush the wo... maine wahan ja kar unke pair chue.. and sweets khilayi... unki khushi to sach main unke face se dikh rahi thi.. kuch der main wahan baitha and fir apne office ke liye nikal pada.. office main bhi dhoom mach gayi thi... main apne boss..HOD..CFO sabhi ko sweets khilayi.. sabhi mujhe congratulate kar rahe the....office se main uncle ke ghar chala gaya...aunty and bachhon se ho milna tha.. raat ko kareeb 11.00 baje main apne flat par wapas aaya....wahi ghar tha..wahi main tha.. sab kuch wahi thi.. but jindagi ab wo nahi thi... bahut kuch badal bhi to gaya tha... I had achieved a dream..an impossible dream.. mera sabse bada sapna.. jiske liye sab kuch daanv par laga diya.. wo aaj poora ho gaya....main bed par eyes band kar le let gaya......I am a Qualified Chartered Accountant....Amit Jain....Chartered Accountant.. baar baar main in words ko apne man main dohra raha tha.. bahut intezaar kiya hai is din ka.......Now....It was the time of retrsopection...........8 saal ka safar.. main dohra lena chahta tha... agle 8 hours main........