Tuesday, October 30, 2007

(6) My First Day in Delhi- 4th June 1998

4 June 1998. Bade Bhaiya Kiratpur aaye hue the aur 4th June ko unhone gandhidham wapas jana tha. unki Delhi se din main flight thi. to ye decide hua ki 4th ko unhe drop karne ke liye car delhi jayegi to main bhi sath main chala jaunga.Subah 6.00 baje ham ghar se nikle. Kareeb 10.00 baje ke aaspas ham delhi pahunch gaye.Preet Vihar main mere ek uncle ka ghar tha jo khali tha.pahle wahan par unka export business ka office hua karta tha. business band ho gaya tha lekin 1 room main office abhi btha..wahan par ek care taker type ka ladka unhone rakha hua tha uska naam Ravi tha, ravi bhi bijnor ka hi rahne wala tha.ham jab pahle bhi delhi aate the aur agar stay karna hota tha to is flat par hi stay karte the.abhi bhi yahi decide hua tha ki main yahin par rahunga.Dariyaganj main meri bua ji rahti hain. dariya ganj preet vihar se bahut jyada door nahi hai.khair.. ye ek spacious flat tha .maine ek room choose kar ke usme apni almirah etc set kar li. din main bhaiya ko drop karne ke liye airport gaya and fir ghar wapas aa kar driver ko kiratpur wapas bhej diya is beech meri bua ji se baat hui to unhone mujhse kaha ki dinner ke liye main dariyaganj aa jaun.Fufa ji ne mujhse kahan ki abhi mujhe Buses ki jaankari nahi hai isliye main auto se aaon.Auto wala 20-30 Rs lega.lekin panchi pahli bar pankh faila kar aasman main uda tha..man main aasman ko janne aur samjhne ka josh tha to maine kaha ki ...nahi main bus se aunga..atleast mujhe buses ke routes pata hone chahiye. maine ravi se dariya ganj jaane waali bus ke baare main poocha to usne bataya ki aap bahar ja kar bus stop par wait karna and jo bhi Bus 'Golcha Cinema" ja rahi ho usme chadh jana.Wo seedhe dariyaganj hi jayegi. Main apne man main "Golcha - Golcha" yaad karte hue bus stop par pahunch gaya. jo pahli bus aayi wo ek chartered bus thi jo Nehru Place ja rahi thi via Moolchand Hospital.Nehru Place south Delhi main hai and Golcha/Dariya Ganj towards North Delhi hai.Bus ka conducter chilla raha tha "Moolchand-Moolchand"..main apni dhun main tha.. mujhe wo sunayi diya.."Golcha-Golcha". main us bus main chadh gaya. maine conducter se Golcha ka ticket manga to shayad usne "Moolchand" samajh kar mujhe ticket pakda diya.ITO tak bus seedhe aati hai then nehru place jane ke liye left leti hai and dariya ganj jane ke liye right.Bus to Nehru place ja rahi thi so usne ITO se left turn le liya. mera matha thanka.wajah ue thi ki Delhi to main pahle bhi aata raha tha aur thode bahut raste mujhe yaad the..itna bhi yaad tha ki Dariyaganj jaane ke liye ITO se right lete hain..isliye jab bus ne left liya to mujhe kuch digest nahi hua.. but fir maine apne man ko samjaya...."nahi beta ,,abhi tak tu car se aata tha...isliye right lete the. ye bus hai..and buses ke route diffrent hote hain..isliye ho sakta hai kahin se ghoom kar jaye"ye soch kar main aram se baitha raha.. bus chalti rahi..thodi door aage ja kar Sunder nagar aaya..main ek baar pahle Nehru Place ja chuka tha..tab ka rasta mujhe kuch kuch yaad tha..kahin se mind mein flesh hua ki ye rasta to nehru place jata hai.but fir bhi maine na jane kya soch kar apne man ko samjha liya.khair jab Moolchand Hospital aaya to conducter ne kaha" Bhai sahab Utro..moolchand aa gaya" .main kaha "bhaiya maine to golcha jana hai" aur mera itna kahna tha ki conducter aur uske sath sath aaspas ki saari public hasne lagi...Main moolchand par utra aur wahan se 70 Rs auto waale ko de kar main dariyaganj aaya.Bua ji ke ghar main ye kissa sun kar har koi has has kar lotpot ho gaya.khair wahan se wapas lautne ke liye Fufa Ji mere sath bus stop par gaye and mujhe sahi bus main baithaya.raat ko kareeb 10.00 baje main ghar wapas aaya. ab aage ki planning banani thi.kya karna hai..kaise karna hai...bahut kuch tha jo karna baaki tha aur bahut kuch tha jo hona baaki tha. Ye tha mera pahla din mere sapno ke shahar main.