Wednesday, August 29, 2007

(5) My College Days in Bijnor (1995-1998) - Part III

B.Comm IIIrd Year. It was an year of disturbance... Aptech ka Computer course poora ho chuka tha.Tau Ji ke health jyada theek nahi rahti thi isliye main ab shop par bhi time deta tha..college jana almost band ho gaya tha.. bas tution chal raha tha... wo bhi morning main tha....so poora din ghar par ya shop par hi rahta tha. in dino mere and nitin ke plan main ek change hua... ye to decided hi tha ka next year delhi ke liye move karna hai.... but apni CA waali planning thodi change honi start hui.. actually un dino jisko bhi dekho wahi MBA karne ke liye bhag raha tha. meri papa se baat hui to papa bole ke abhi is baar hi Exam main appear ho kar dekh lo .. pata chal jayega ki kya weaknesses hain. so maine and nitin ne CAT ki preparation ke liye kuch books purchase kar li and ghar par hi thoda bahut time usme dene lage. Hamare Aptech waale batch main Prakrati Bakshi naam ki ek batchmate thi wo pahle bhi CAT main appear ho chuki thi thodi bahut guidance usse mili. waise bhi ham bahut seriously to preparation kar nahi rahe the bas ek experience lena tha. Chacha in dino Surat main posted the. Nov main Tau Ji ka surat jaane ka program bana. Surat main un dino US se koi doctor aaye hue the and chacha ne Tau ji ke liye unse appointment lia tha. 4th Nov ko Tau ji and Tai Ji surat gaye. Wahan ja kar Tau ji ki tabiat aur kharab ho gayi and unko hospitalise karna pada. 4th Dec 06. Unke surat jaane ke poore 1 month baad unki wahin par death ho gayi. Hepatitis B had swallowed his life. Tau Ji's death was a big shock for all of us. He was the pillar of our family.Main aaj bhi us din ko bhool nahi pata... It was friday.. main bijnor se wapas aaya.. din ke kareeb 2-00 baje the. mummy ne mujhse kaha ki surat phone kar ke pooch le ki aaj tau ji ki tabiat kaisi hai... maine chacha ke mobile par phone kiya to phone kisi aur ne uthaya. fir chacha phone par aaye and mujhe bataya ki tau ji ki death ho gayi hai. 1 minute ke liye meri eyes ke aage andhera chha gaya. chacha ne mujhse kaha ki mummy se baat karao. main phone hold kara kar mummy ke pas bhaga.. lekin mere gale se awaaj hi nikal rahi thi......wo ho gaya tha jiske baare main sochte hue bhi darte the. khair...... jindagi kabhi kisi ke liye nahi rukti...lekin jindagi ke mod ehamare dilon par apni chhap chodd jaate hain.tau ji and unsi judi hui baten bhi aisi hi yaadon ki tarah hain jo hamseha ham sabke dilon main taaja rahengi. tau ji ke jaane ke baad papa ne shop par poora time devote karna start kar diya.is last one year main mujhe bhi shop se kaafi attachment ho chuka tha.ek ajeeb si insecurity ki feeling thi.isi mental state main maine decision liya ki ... now i wont go anywhere.. mujhe ab kuch nahi karna hai and main ab papa ke sath shop par baithunga.ek internal feeling ye bhi thi ki shayad papa sab kuch khud se handle nahi kar payenge and as I am the eldest son so i should support him.maine apna ye decision ghar main sabko bata diya. kisi ka koi khas reaction nahi tha except chacha.chacha mere is decision se bahut naraaz hue and mujhe samjhaya. unka kahna tha ki life kisi ke hone na hone se nahi rukti kaam bhi sab hote hi hain.. why do u think that tere delhi jaane ke baad in logo ko yahan par kuch problem padne waali hai. and agar padegi bhi to achha hi hai.. jab tak insaan par padti nahi hai tab tak wo seekhta bhi nahi hai.unki bateen meri samajh main aayi. Dec main CAT main appear hone ke liye main delhi aaya.paper dekh kar kaafi idea hua and ye bhi samajh aaya ki CAT ko crack karna hai to properly coaching etc leni padegi ..aise kaam nahi chalega. Ye bhi samajh main aa gaya ki english ke communication and vocabs skills par bahuuuuuut jyada mehnat karni padegi.abhi to halat ye thi ki na to bol sakte the na samajh sakte the. saamne koi english main baat karta ya kuch poochta to ulluon ki tarah baglen jhaakne lagte the and dreams dekhte the CAT ke.is baare main thodi research karni start ki...pata chala ki Delhi main British Counsil Division ke courses hote hain Language Skills Improvement ke liye.British Counnsil main thodi correspondence kar ke isse related details mangwa li. courses ache the. ab finally ye decide hua ki Delhi ja kar CAT ke liye coaching join karni hain and sath main british counsil ki classes join karni hain.March main B.Com Final Year ke Exam khatam ho gaye. Papers Overall achhe hue the Result May main Expected tha.In dino Sister (Tau Ji ki Daughter) ki marriage ki baat chalti rahti thi. Lucknow main ek jagah uski baat chal rahi thi..April main un logo ne delhi main milne and dekhne ka program rakha.Main Tai Ji, Dadi, Chacha and Sister ke sath Delhi aaya. dekhne and milne ke baad baat wahan par final ho gayi. Main bhi British Counsil ho kar aaya and classes ke baare main aur details li. May Main Final Year ka Result aa Gaya. Maine Bijnor Top Kiya tha. Aur fir finally aaya 4th June 1998 wo din jab maine khule aasman main apni baahen faila di aur apne sapno ki talash main kiratpur chodd kar delhi ke liye nikal pada.chidiya ke bachhe jab pahli baar ghonsla chodd kar apna daana paani talash karne ke liye khule asman main udte hain to jo feeling unke man main hoti hogi kuch aisi hi feeling mere main main bhi thi.

No comments: